JUDAAI!! :(

04/05/2013 21:56

Judai do qism ki hoti hain: Ek wo, jo ALLAH ki taraf se aati hai or ek wo, jo insaan khud apni marzi se karta hai. ALLAH jab apko apne kisi chahne waale se juda karta hai to Wo apke dil me ek Sabar bhi deta hai, lakin ye insaan bohat he zyada be-reham or zaalim hote hain, judai ke sath sath be-chaini, dukh or dard bhi de jaate hain apko tohfe ki surat me jo kabhi bhi aapka sath NAHI chodta. ALLAH janta hai ke uska banda ye judai bardash NAHI kar payega isiliye wo juda to karta hai lakin apki zindagi ko be-maine nahi banata, apko tasalli or hausla deta hai. Lakin ye LOG pyaar ke naam par judai, ruswai or zillat bhari zindagi de jaate hain. Umar bhar sath nibhane ka waada karke palak jahapkte he wo wada bhool jaate hain.

A2fa ©